Iftaari prepared & pics by,
Ayesha. A Khurram
Kya zamana tha aunties apnay haathun say iftari banati theen aur unki koi signature dish hoti jo sab say tasty hoti...pher iftar k waqt bachay trays laykr aatay thay ghar ki platun piyaliun mein...
aur ab bachun ko kise aunty k haath ka taste he nehe pata...
Himmate aurtan...kuch halka phulka khud bhee banaker dya ja sakta hay
following talk is not get maliced but to ponder:
Ab tu man of the house himmate mardan bahar say hi order kerdya, line mein lag ker khoar hoker dabbay milay.. aur bahar say hi dabba pakra dya mohallay k chund gharun ko bhagtay bhagtay.. na taste hota hay na apnayiat....
Log ye dabbay ki zehmat bhee kyun kertay hein... chicken biryani iftaar k waqt pata nehe dukaandaar ney kesi banai itni jeldi aur time pressure mein...heaky hoti hay....baqi kuch aur dabbay bhee hotay hay kebab, sandwiches aur rolls... ye sab bhee dukaandaar jesa tesa banaker dabba pack ker deta hay...
dukaandar bhee kya keray sab k order ka load he itna hota hay, sab k orders hotay hein..same time same type.....
0 Comment to "IFAARI BE LIKE!"
Post a Comment